Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

HazratSyed Amir Kulaal

Rahmatullah Alayh

 

Aap aali nasb Syed Sadaat mein se hain. Aap shehar Bukhara se chay(6) meel ke faasla par Sokhaar nami Qasba mein 676 Hjri mein peda hue. Aap koza giri ka shok  rakhtay thay. Farsi zabaan mein koza gar ko kulaal kehte hain lehaza asp  Hazrat Syed Amir Kulaal Rahmatullah Alayh ke naam se mashoor huye .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Muaash ka zareya zaraat tha. Taaqat war pehelwaan thay, shoq se kashti khela karte thay. Chunancha aik martaba logon ka majmaa laga howa tha, kashti ka khail shuru tha kay wahan se Hazrat Baba Samasi Rahmatullah Alayh ka guzar howa to aap wahein kharray ho gaye aur farmanay lagey  yahan mojood 1 shakhs se bandgaan Khuda ko faiz puhanche ga, mein isi liye khara hoon“. Isi isna mein Hazrat Syed Amir Kulaal Rahmatullah Alayh ki nazar Baba Samasi Rahmatullah Alayh par pari isi waqt Hazrat Baba Samasi Rahmatullah Alayh ne apni qowat se aap ko apni taraf khanch liya chunancha yeh syed zaday  isi waqt se Hazrat Baba Rahmatullah Alayh ke sath rawana hogaye. Sohbat o khidmat mein reh kar aap ke khalifa balkay janasheen banay. Is ke baad Hazrat Ameer Rahmatullah Alayh  ko kisi ne kashti lartay hue nahi dekha .

Asp fana fil shaikh ki sachhi tasveer thay . Matwater 8 saal tak bila nagha Peer aur Jumah tul mubarak ke roz nimaz e Maghrab Sokhaar main parh kar Samas ko rawana ho jatay jo Sokhaar se pandrah(15) meel ke faaslay par waqa hai aur Esha ki nimaz  Hazrat Baba Samasi Rahmatullah Alayh ki eqteda main ada karte thayphir subha Sadiq wapas rawana ho jatay aur nimaz e Fajar Sokhaar main aa kar parhte. Aap ki zindagi mein kisi ko bhi is haal ki khabar na hui .

Aik dafaa Ameer e Taimoor ne Samerqand se aik qasid aap ki khidmat mein bheja kay is ki Wilayat ko qadam mubarak se Musharraf  karen. Aap ne apne sahibzaday Ameer Umar ko uzir khawahi ke liye bheja aur kaha kay agar Ameer Taimoor  tumhe koi jageer ya inaam day to mat qubool karna. Agar tum qubool karo ge to apne jadd Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ke khilaaf karo ge .

Ameer Taimoor ne aap ko tamam Bukhara aataa kya lekin aap ne qubool nah kya. Ameer Taimoor ne kaha agar sara nahi to kuch hissa qubool kar lijiye Ameer Umar ne phir inkaar kya aur kaha kay ijazat nahi hai. Ameer Taimoor ne kaha kay Hazrat Ameer Kulaal Rahmatullah Alayh ko kya likh beju kay humhara taqarab darwaishon  mein ho jaye . Syed Ameer Umar ne kaha kay agar tum chahtay ho kay tumhara taqarab darwaishon mein ho jaye to  taqwa aur adal ko apna  shoaar bana lo kyunkay Allah Taala aur Khasan e haq ke taqarab ka yahi rasta hai .

Aap ke intqaal ke baad Mecca Muazzama aur Madinah Munawwara se Soofia ki aik jamaat Bukhara mein aye aur Qasba Sokhaar  ka poocha. Logon ke poochnay par unhon ne bataya kay woh Hazrat Ameer Kulaal Rahmatullah Alayh ki ziyarat ke liye aaye hain. Logon ne bataya kay woh to rehlat farma gaye hain. unhon ne aap ki aulaad se milnay ki khwahish zahir ki. Chunancha woh aaye aur aap ki aulaad se milay aur Hazrat Amir Kulaal Rahmatullah Alayh  ke kamalaat ka zikar karne lagey .

Aap ki aulaad aur logon ne un Soofia se kaha kay Hazrat Ameer Kulaal Rahmatullah Alayh  to kabhi Mecca Muazzama aur Madinah Munawwara gaye hi nahi! Aap un ko kaisay jantay hain. Soofia bolay kay harmain sharifain mein aap ke bohat se mureed  hain jin mein hum bhi shaamil hain. Is saal hum ne inhen dekha nahi is liye un ke jamal ki kashish hamein yahan khech layi magar afsoos kay aap wisaal farma gaye hain .

Un Soofia ne aap ke mazaar par haazri di aur Eradat mandoon  ki terhan ansoo baahay. Phir sab Khuda Hafiz keh kar chal diye .

Aap ke bakamaal aur Sahib Faiz honay ke liye yahi kaafi hai kay aap tareeqa Alia  Naqshbandia ke azeem peshwa Hazrat Syed Bahauddin Naqshbanb Bukhari Rahmatullah Alayh  ke peer o murshid hain .